Charan Singh Ji Maharaj - English Translated
Charan Singh Ji Maharaj - English Translated
Details of Satsang "Come, My Friend, to Your True Home"
Title Come, My Friend, to Your True Home
Subtitle Dhaam Apne Chalo Bhaai
Category Charan Singh Ji Maharaj - English Translated
Satsang Maharaj Charan Singh Ji
Shabad Bani Swami Ji Maharaj
Year N/A
Label RadhaSoami Satsang
Audio of Satsang "Come, My Friend, to Your True Home"
Audio Player Loading...
Do you liked this Shabad ?  
Lyrics of Shabad "Dhaam Apne Chalo Bhaai"
उपदेश गुरु और नाम-भक्ति, बचन उन्नीसवाँ, शब्द अठारहवाँ
धाम अपने चलो भाई, पराये देश क्यों रहना.
काम अपना करो जाई, पराये काम नहीं फँसना.
नाम गुरु का सम्हाले चल, यही है दाम गंठ बंधना.
जगत का रंग सब मैला, धुला ले मान यह कहना.
भोग संसार कोई दिन के, सहज में त्यागते चलना.
सरन सतगुरु गहो दृढ कर, करो यह काज पिल रहना.
सुरन मन थाम अब घट में, पकड़ धुन ध्यान धर गगना.
फंसे तुम जाल में भारी, बिना इस जुक्ति नहीं खुलना.
गुरु अब दया कर कहते, मान यह बात चित धरना.
भटक में क्यों उमर खोते, कहीं नहीं ठीक तुम लगना.
बसों तुम आय नैनन में, सिमट कर एक यहं होना.
दुई यहं दूर हो जावे, दृष्टि जोत में धरना.
श्याम तज सेत को गहना, सूरत को तान धुन सुनना.
बंक के द्वार धस बैठो, तिरकुटी जाय कर लेना.
सुन्न चढ़ जा धसो भाई, सूरत से जा गुफा बसना.
लोक चौथे चलो सज के, गहो वहं जाय धुन बीना.
अलख और अगम के पारा, अजब इक महल दिखलाना.
वहीं राधास्वामी से मिलना, हुआ मन आज अति मगना.
Updesh Guru Aur Naam-Bhakti, Bachan 19th, Shabd 18th
Bani Hazur Soami Ji Maharaj

Dhaam apne chalo bhaa'i, Paraaye desh kyon rahna.
Kaam apna karo jaa'i, Paraaye kaam nahi phansna.
Naam guru ka samhaale chal, Yahi hai daam ganth bandhana.
Jagat ka rang sab maila, Dhula le maan yah kahna.
Bhog sansaar koi din ke, Sahaj mein tyaagte chalna.
Saran satguru gaho dridh kar, Karo yah kaaj pil rahna.
Suran man tham ab ghat mein, Pakad dhun dhyan dhar gagna.
Phanse tum jaal mein bhaari, Bina is jukti nahi khulna.
Guru ab daya kar kahte, Maan yah baat chit dharna.
Bhatak mein kyon umar khote, Kaheen nahi theek tum lagna.
Baso tum aaye nainan mein, Simat kar ek yahan hona.
Dui yahan door ho jaave, Drishti jot mein dharna.
Shyaam taj set ko gahna, Surat ko taan dhun sunana.
Bank ke dwaar dhas baitho, Tirkuti jaaye kar lena.
Sunn chadh ja dhaso bhaa'i, Surat se ja gupha basna.
Lok chauthe chalo saj ke, Gaho vahan jaaye dhun beena.
Alakh aur agam ke paara, Ajab ik mahal dikhlaana.
vaheen RadhaSoami se milna, Hua man aaj ati magna.

2 comments:


Special Thanks and Apology to all the Respective Labels whose Audios have been used for this Blog without their permission.