Charan Singh Ji Maharaj - English Translated
Charan Singh Ji Maharaj - English Translated
Details of Satsang "My friend, Why Stay Caught in This World"
Title My friend, Why Stay Caught in This World
Subtitle Atak Tu Kyon Raha Jag Mein
Category Charan Singh Ji Maharaj - English Translated
Satsang Maharaj Charan Singh Ji
Shabad Bani Swami Ji Maharaj
Year N/A
Label RadhaSoami Satsang
Audio of Satsang "My friend, Why Stay Caught in This World"
Audio Player Loading...
Do you liked this Shabad ?  
Lyrics of Shabad "Atak Tu Kyon Raha Jag Mein"
चितावनी भाग दूसरा, बचन पन्द्रहवां, शब्द बारहवां
अटक तू क्यों रहा जग में, भटक में क्या मिले भाई.
खटक तू धार अब मन में, खोज सतसंग में जाई.
बिरह की आग जब भड़के, दूर कर जगत की काई.
लगा लो लगन सतगुरु से, मिले फिर शब्द लौ लाई.
छूटेगा जन्म और मरना, अमर पद जाय तू पाई.
भाग तेरा जगे सोता, नाम और धाम मिल जाई.
कहूं क्या काल जग मारा, जीव सब घेर भरमाई.
नहीं कोई मौत से डरता, खौफ जम का नहीं लाई.
पड़े सब मोह की फांसी, लोभ ने मार धर खाई.
चेत कहो होय अब कैसे, गुरु के संग नहीं धाई.
काम और क्रोध बिच बिच में, जीव से भाड़ झोंकवाई.
गुरु बिन कोई नहीं अपना, जाल यह कौन तुडवाई.
कुटुम्ब परिवार मतलब का, बिना धन पास नहीं आई.
कहाँ लग कहूं इस मन को, उन्ही से मास नुचवाई.
गुरु और साध कहें बहु बिधि, कहन उनकी न पतियाई.
मेहर बिन क्या कोई माने, कही राधास्वामी यह गाई.
Chitavani Part 2nd, Bachan 15th, Shabad 12th
Bani Hazur Soami Ji Maharaj

Atak tu kyon raha jag mein, Bhatak mein kya mile bhaa'i.
Khatak tu dhaar ab man mein, Khoj satsang mein jaa'i.
Birah ki aag jab bhadke, Door kar jagat ki kaa'i.
Laga lo lagan satguru se, Mile phir shabd lau laa'i.
Chhutega janm aur marna, Amar pad jaaye tu paa'i.
Bhaag tera jage sota, Naam aur dhaam mil jaa'i
Kahoon kya kaal jag maara, Jeev sab gher bharmaa'i.
Nahi koi maut se darta, Khauf jam ka nahi laa'i
Pade sab moh ki phaansi, Lobh ne maar dhar khaa'i
Chet kaho hoye ab kaise, Guru ke sang nahi dhaa'i.
Kaam aur krodh bich bich mein, Jeev se bhaad jhonkvaa'i.
Guru bin koi nahi apna, Jaal yah kaun tudvaa'i.
Kutumb parivaar matlab ka, Bina dhan paas nahi aa'i.
Kahaan lag kahoon is man ko, Unhi se maas nuchvaa'i.
Guru aur saadh kahen bahu bidhi, Kahan unki na patiyaa'i.
Mehar bin kya koi maane, Kahi RadhaSoami yah gaa'i.

1 comment:


Special Thanks and Apology to all the Respective Labels whose Audios have been used for this Blog without their permission.